- Admin
- May 16, 2025
- Festival & Traditions
रक्षाबंधन (Rakṣābandhan)
रक्षाबंधन क्यों मनाते हैं?
रक्षाबंधन भाई और बहन का त्योहार है। इस दिन बहन अपने भाई को राखी बाँधती है। बहन भगवान से प्रार्थना करती है कि उसका भाई हमेशा खुश और सुरक्षित रहे। भाई बहन को वादा करता है कि वह उसकी रक्षा करेगा। यह त्योहार प्यार और विश्वास का त्योहार है।रक्षाबंधन कहाँ मनाते हैं?
रक्षाबंधन भारत में बहुत जगह मनाया जाता है। यह त्योहार नेपाल और दुनिया के और देशों में भी मनाया जाता है, जहाँ भारतीय लोग रहते हैं। हिन्दू लोग इस त्योहार को मनाते हैं, लेकिन दूसरे धर्म के लोग भी राखी बाँधते हैं।रक्षाबंधन क्या है?
रक्षाबंधन एक त्योहार है। इसमें बहन भाई को राखी बाँधती है। राखी एक सुंदर धागा होता है। राखी प्यार और रक्षा का प्रतीक है। बहन भाई की आरती करती है, तिलक लगाती है और मिठाई खिलाती है। भाई बहन को उपहार देता है और कहता है, "मैं हमेशा तुम्हारी मदद करूँगा।" इस त्योहार की एक कहानी महाभारत से है। भगवान श्रीकृष्ण की अंगुली कट गई थी। द्रौपदी ने अपनी साड़ी से एक कपड़ा फाड़कर श्रीकृष्ण की अगुंली पर बाँधा था। यह एक तरह की राखी बन गई। तब से रक्षाबंधन मनाया जाता है।रक्षाबंधन कब मनाते हैं?
रक्षाबंधन हर साल श्रावण मास की पूर्णिमा को मनाया जाता है। यह दिन जुलाई या अगस्त में आता है। यह एक शुभ दिन होता है।रक्षाबंधन कैसे मनाते हैं?
इस त्योहार की तैयारी कुछ दिन पहले से शुरू हो जाती है। बाजारों में रंग-बिरंगी राखियाँ मिलती हैं। लोग मिठाई और उपहार भी खरीदते हैं। रक्षाबंधन के दिन सुबह बहन एक थाली सजाती है। थाली में राखी, चावल, तिलक, दीया, अगरबत्ती और मिठाई होती है। वह अपने भाई को तिलक लगाती है, आरती करती है और राखी बाँधती है। भाई बहन को मिठाई देता है और उपहार भी देता है। फिर सब लोग मिलकर खाना खाते हैं और खुश होते हैं। अगर बहन और भाई दूर रहते हैं, तो बहन राखी पोस्ट से भेजती है। आजकल बहनें वीडियो कॉल पर भी राखी बाँधती हैं। कुछ बहनें सैनिकों और पुलिसवालों को भी राखी भेजती हैं।रक्षाबंधन में क्या-क्या खाते हैं?
इस दिन लोग मिठाइयाँ खाते हैं। जैसे –- मोतीचूर के लड्डू
- नारियल लड्डू
- खीर
- हलवा
Rakṣābandhan kyon manāte hain? Rakṣābandhan bhāī aur bahan kā tyohār hai. Is din bahan apne bhāī ko rākhī bāndhatī hai. Bahan Bhagvān se prārthnā kartī hai ki uskā bhāī hameśā khuś aur surakṣit rahe. Bhāī bahan ko vādā kartā hai ki vah uskī rakṣā karegā. Yah tyohār pyār aur viśvās kā tyohār hai. Rakṣābandhan kahān manāte hain? Rakṣābandhan Bhārat men bahut jagah par manāyā jātā hai. Yah tyohār Nepāl aur duniyā ke aur deśon men bhī manāyā jātā hai, jahān Bhāratīya log rahte hain. Hindū log is tyohār ko manāte hain, lekin dusre dharma ke log bhī rākhī bāndhate hain. Rakṣābandhan kyā hai? Rakṣābandhan ek tyohār hai. Ismen bahan bhāī ko rākhī bāndhatī hai. Rākhī ek sundar dhāgā hotā hai. Rākhī pyār aur rakṣā kā pratīk hai. Bahan bhāī kī ārtī kartī hai, tilak lagātī hai aur miṭhāī khilātī hai. Bhāī bahan ko uphār detā hai aur kahtā hai, "main hameśā tumhārī madad karūngā." Is tyohār kī ek kahānī Mahābhārat se hai. Bhagvān Shri Krishna kī aṅgulī kaṭ gaī thī. Draupadī ne apnī sāṛī se kapṛā phāṛkar Shri Krishna kī aṅgulī par bāndhā thā.Tab se Rakṣābandhan manāyā jātā hai. Rakṣābandhan kab manāte hain? Rakṣābandhan har sāl Śrāvaṇ mās kī pūrṇimā ko manāyā jātā hai. Yah din julāī yā agast men ātā hai. Yah ek śubh din hotā hai. Rakṣābandhan kaise manāte hain? Is tyohār kī taiyārī kuchh din pahale se śuru ho jātī hai. Bājāron men raṅg-biraṅgī rākhiyān miltī hain. Log miṭhāī aur uphār bhī kharīdate hain. Rakṣābandhan ke din subah bahan ek thālī sajātī hai. Thālī men rākhī, cāval, tilak, dīya, agarbattī aur miṭhāī hotī hai. Vah apne bhāī ko tilak lagātī hai, ārtī kartī hai aur rākhī bāndhtī hai. Bhāī bahan ko miṭhāī detā hai aur upahār bhī detā hai. Phir sab log milkar khānā khāte hain aur khuś hote hain. Rakṣābandhan men kyā-kyā khāte hain? Is din log miṭhāiyān khāte hain, jaise:
- Motīcūr ke laḍḍū
- Nāriyal ke laḍḍū
- Khīr
- Halvā